Net Banking Ke Bare Me Sampurna Jaankaari

Aaj ke samay me kisi bhi vyakti ke paas ek bank account hona anivarya hai. Bank khata kai tarah se upyogi hota hai. Paiso ke lenden ke liye, Residence proof den eke liye, Gas account ki subsidiary jama karane ke liye, online shopping karne ke liye, loan lene ke liye, salary jama karane ke liye, bachat karne ke liye tatha dusre kai anya zaruari kaamo ke liye bank account ka use kiya ja sakta hai. Vartmaan samay me Normal banking ki jagah digital Net banking ne le li hai.



Aaj bhi kai log Normal banking par nirbhar hai. Lekin nayi educated pidhi Net banking ki taraf mud ti jaa rahi hai. Online banking kafi easy aur samay bachane vala hota hai. Net banking arth-vyavastha Internet suvidha ke karan possible aur successful hui hai. E banking, Net banking Online banking in sab ka arth ek hi hota hai.


Mera khud kaa Net banking anubhav

Mai khud apne clients se paise mangane ke liye online banking yani net banking par nirbhar hu. Kyun ki mere kai clients mujhe sekdo kilo meter dur rahte hai, aur mene unhe real life me kabhi dekha tak nahi hai. Rakam choti hone ke karan khud payment receive karne jana namumkin ke barabar hota hai. Par thanks to net banking mujhe mere kaam ke paise NEFT transfer seva ke madhyam se online mere bank khate me hi mil jate hai.


Net banking Expansive hai yaa sasta?

Is savaal ka javaab hai “sasta” aur “aasaan”. Aaj ke digital banking yug me 10 me se 9 banks online banking ki suvidha dete hai. Aru payment ko online transfer karne par mamuli si fees vasul karte hai. Kai banks to chote amount free me hi transfer kara dene ki suvidha dete hai. Sarkari banko me online banking ki quality thodi upar niche hoti hai, par privet banks jaise ki ICICI bank aur HDFC bank me yeh suvdha uttam quality ki hoti hai. Me HDFC bank ka online banking system use karta hu. Mera experience HDFC bank ke sath kafi accha raha hai.


Net banking seva se aur kya kya labh milte hai?

Internet banking Online ka use karne par grahak ko kai tarah ki suvidha ye milti hai. Udaharan ke taur par….
1-Bank Balance check karana. Account statement dekhna. 2-online Fix deposit book karana. 3-Insurance plaan kharidna. 4-Online payment kar ke shopping karna. 5-anya payment send ya receive karna. 6-Guess connection bill, electricity bill, bima premium, Mobile bill payment, DTH recharge, loan installment payment karna 7-Stock trading account aur demate account se bank account jodna etc. important kaam ghar baithe kiye jaa sakte hai. Mobile, computer yaa laptop se online banking seva use ki jaa sakti hai.


Net Banking se judi kuch aam pareshaniya kya hai?   

Net banking use karne par har transaction ke vakt OTP yani one time password submit karna padta hai. Agar aap ko apna registered phone sath rakhne ki aadat nahin hai to bhugtaan karne me problem hogi.

Kabhi kabhi slow internet ki vajah se bhugtaan karte vakt banking kaa online system respond nahi karta hai, or session expired ho jata hai. Ya anya kisso me account kuch der ke liye lok bhi ho sakta hai. Jo ki irritating ho jata hai.

Vaise to Net banking ka password reset karna aasan prakriya hoti hai, par agar kisi ko apna mail id, mobile number aur basic Internet handle karne ka gyaan naa ho to unke liye Net banking totally useless hai.


Kya net banking seva 100% saif hai?  Guaranty?

Is savaal ka sidha javaab hai “naa”. Agar koyi ye sochta hai ki banking online karna puri tarah safe hai to ye baat galat hai. Internet par kai aise kalaakaar mandraa rahe hai jo dusro ke bank accounts hack kar ke paise chrane ke kaam me lage rahte hai. Par ye khatra to offline banking (physical) banking me bhi hota hai. Bank se ghar aate vakt chor paise lut sakta hai. Is liye risk to dono jagah same hi hai.


Unsafe hai to Net banking kyu use kare?

Jo log samay ke sath badalte nahi hai unhe samay badal deta hai. Aur upar ke point me kahe anusaar khatra to dono type ke banking me hai. To kyu naa modern banking yani Net banking hi use kiya jaye. Net banking kafi sasta, samay bachane vala aur aasan hai.

Net banking ko zyada se zyada secure banane ke liye bank authorities din raat mahenat karti hai. Aur acchi quality ke software aur ante-hacking systems istmaal karti hai. Online banking karte samay kisi baat ki gadbadi naa ho jaye is liye 24*7 aur 365 days customer support bhi provide kiye jate hai.


Ek online Net baning Upbhogta ko kya kya saavddhaani rakhni chahiye?   

  • Agar aap net banking use kar rahe hai to apne bank account ka password extra strong rakhe.
  • ATM pin number, Bank password, aur transaction password ki Information kisi bhi vyakti se share naa kare, aur is prakaar ki important details apne mobile par yaa common books par naa likhe.
  • Khud ke naam, surname, date of birth yaa home address yaa city ke alphabet use kar ke password naa banaye. Ye sab easily guess kiye jaa sakte hai.
  • Cyber café me Internet banking use kar rahe hai to kaam khatam kar ke banking site se proper log-out kare. Aur web browser se sari surfing history hamesha delet kar ke hi computer chode.
  • Mobile device par yaa computer par hamesha antivirus up grade kiya hua rakhe. Net banking use karne se pahle spy ware aur antivirus ki condition thik hai ki nahi ye zarur jaanch kar le.
  • Samay samay par Net banking log in aur payment transaction ka password zarur badalte rahe. Aisa karne se aap ke bank account ki safety dugni badh jati hai.
  • Bank details verification ke liye yaa kisi bhi prakaar ki details jama karane ke liye Email aaye yaa bank se call aaye to us mail aur call ki puri jaanch kare. Kyun ki kai baar internet Hackers farzi Bank official ban kar randomly call karte hai aur bank details ugalva kar online account hack kar lete hai.
  • Kisi bhi sandigd call ya mail ki suchna apne bank ko aur hamari cyber crime authority ko turant de. Aisa karne se us thag ki gatividhi trace kar ke Net banking ko aur safe banane me madad milti hai.


Net baninkg seva dene vale agrani banks kaun kaun se hai?  

  • Bank Of India
  • State bank of India
  • Bank of Baroda
  • Yes Bank
  • Axis Bank
  • ICICI Bank
  • HDFC Bank
  • Union Bank
  • Central Bank Of India
  • Punjab National Bank
  • Allahabad Bank
  • Kodak Mahindra bank

In sab ke alavaa bhi kai sare banks hai jo apne grahako ko online Banking ki suvidha pradaan karte hai. Is list me sirf acchi online service dene vale quality banks ko hi shamil kiya gaya hai.


Mere account me Net Banking Suvidha activate karane ke liye kya karu?

Sab se pahle ye baat jaan leni chahiye ki aap ka bank ye suvidha deta hai yaa nahi. Jab ye baat sunischit ho jaye ki aap ka bank Net banking suvidha deta hai, tab bank jaa kar vaha kisi adhikari se ye puchna hoga ki Online Banking / Net banking shuru karane ke liye jo form bharna padta hai vah dijiye.

Ek baar form hasil kar le, tab use acchi tarah se padh lijiye aur usme sahi sahi details bhar dijiye. Form me jo details samjh naa aaye use khali chod dijiye. Taki form kharaab naa ho.
Diye gaye application form me hi, un sabhi documents ki list hogi jo aap ko jama karane hoge. Bank adhikari ko apna bhara hua form aur list ke mutabik documents ki attested copies jama kara djiye.

Form me yaa documents me agar koyi gadbadi hui to adhikari aap ko use sudhaar karne ki advice de dega. Is prakaar process pura kar lene ke baad aap ko apne user aur password ki details ke liye kuch din intzaar karna hoga.

Kuch hi dino me aap ki online banking ki details Courier ke Madhya se aap ke ghar par pahuch jayegi. Uske baad aap bank ki official website par jaa kar diye gaye user name aur password ke dvara log in kar ke online Net banking ka labh utha sakte hai.


Conclusion  

Net banking naye zamane ki banking hai. Agar aap ek blogger hai to aap ke liye yeh ek bahut hi faydemand suvidha hai. Kai online writer or online businessman is suvidha ka labh utha kar dher sare paise kamate hai. Online banking suvidha se Nakat pasie sath le kar ghumne ki pareshani se chutkara milta hai. Individual ho yaa businessman, grihini ho yaa vidyaarthi har ek ke liye Net banking aashirvaad samaan hai. Is suvidha ko samajdaari se aur saavdhani se use karne se hamesha laabh hi hota hai. Yeh mera experience hai. – Thanks for reading full article.
Previous
Next Post »