What is Keyword or secondary keywords - kya hota hai key words

Blogging me alexa rank ka bada mahatv hai. Ek website kaa accha alexa rank uski quality kaa mapdand mana jata hai. Is kaam ke liye bade bade website SEO experts serves par lakho rupiye kharch karte hai. Ek blog kaa SEO theek karne aur alexa rank badhane ke liye kuch basic chizo ka dhyaan rakhna hota hai, aur writing & formatting technique me zaruri badlaav karne hote hai. In sabhi terms me Keyword aur secondary keywords use karne ki technique bahot important hai.


Secrete trick of using keywords smartly 

Aaj tak ham padhte aaye hai ki, had se zyada keyword use karoge to keyword suffering hoga, sub heading me keyword use karo, pahele paragraph me keyword use karo, last paragraph me keyword use karo, post me bold, italic, numbering, Heading text, aur do teen acchi vali images kaa use karo.

Ab ye upar ke paragraph me likhi basic SEO ramayan to aaj kal blogging karne vala baccha bhi janta hai. Is liye me is article me ek nayi aur effective trick batane jaa raha hu, jisko istmaal karne se Google search se aur anya search engine se aap ke blog par organic traffic badh sakta hai. Aur aap ke blog ka page rank bhi aage aane lagega.

Toh aakhir vah kya tarika hai jise apply karne se blog par organic traffc bhi badhne lage aur alexa rank bhi badh jaye. Is savaal ka javab agle point me explain karne jaa raha hu, kripya dhyaan se padhe aur is solid technique ko use kar ke fayda uthaaye.


Master trick of applying keyword  

  • Kisi bhi article ko likhne se pahle accha sa High CPC dene vala keyword dhundhe. Us par article likhe aur us keyword ko main title me ho sake to title ki shuruaat me hi use kare.
  • Post likhne se pahle secondary keywords ka list Google search se malum kare. Ab secondry keywords kya hote hai aur kaha display honge ye janne ke liye niche bataya gaya example theek se samjiye.


Example-
maan lijiye ki aap “Weight loss” subject par article likhne ki shuraat kar rahe hai to aap ko googe search me “Weight loss ” type kar ke search tab dabana hai. Ab aap ke samne us search ka result aayega.

Ab aap ko scroll down kar ke us result page ke end par jana hai. Sab se niche aap ko main keyword ke sath secondry keywords kaa ek pura list display hoga. Jo kuch is tarah hoga. (Note-Ham ne google me “weigh loss” likh kar search kiya hai is example ke mutabik to,,,  us se related secondary keywords kuch niche bataye list ki tarah honge.)


Searches related to weight loss (secondry keywords / related keywords)

  • how to loseweight fast
  • weight losstips
  • weight lossexercise
  • how to loseweight
  • weight lossprograms
  • weight losspills
  • weight lossdiet
  • weight losssupplements

Zyada acchi tarah samjne ke liye niche vali image dekhe.

  • Ab aap upar lagi image me dekh sakte hai, ki highlighted “weight loss” primary keyword ke saath saath kitne sare related words hai jo user baar baar search karte hai. Image me point out kiye hue related secondary searched words aap ke keyword jitney hi important hai.
  • Agar aap primary keyword ke sath sath upar vali related list ke secondry keywords ko apne “weigh loss” vale article me use karte hai to aap ka quality article (page rank) aasani se alexa rank me upar aane lagega aur aap ke blog par visitor traffic bhi tezi se bahdne lagega. Is tarah aap us subject par authority article holder ban jate hai. Aur aap ka article top authority website ke posts ki list me aane lagta hai.


Conclusion

Blogging world me success hone ke liye upar batayi trick istmaal kar ke benefit hasil kiya jaa sakta hai. Har ek keyword ke saath google pe search hone vale secondary keyword par bhi alag alag rank hota hai. Yani ki main keyword jo ki hamare upar ke example me “weight loss” hai. Uske sath sath jo aath das related key words ka list bataya gaya hai us par bhi rank hota hai.

Ab agar aap weight loss par likh kar main keyword ke sath sath related search secondry keyword ko bhi apne lekh me effective tarike se shamil karte hai to aap ko un secondry keyword kaa rank bhi alag se milega. Yani ki aap ka blog kafi tezi se search engine me aage aane lagega.

Pura lekh padhne ke liye dhanyavaad – is visahy par apne experience aur knowledge zarur share kare. Aap readers ke comments kaa intzaar rahega.    
Previous
Next Post »