Agar aap Ek blogger hai, researcher hai, yaa content writer hai to yeh chota sa article zrur pura padhe. Aaj ke samay me plagiarism ek badi samasya hai. Original content writer apni kadi mahenat se information juta kar ek upiyogi lekh taiyaar karta hai par kuch hi samay me us content ko tod marod kar yaa uski copy kar ke, vaisa hi content dusri anya fraud website par publish kiya jata hai.
Is prakar ki dhokhadhadi ko rokne ke liye copyright act to mojud hai par yeh itna effective nahi hai. Kheir ab main topic par vaips lot te hai.
Kai baar aisa bhi hota hai ki ham apni mahenat se original content taiyaar karte hai, par by chance kisi aur anya website par same vaisa hi content pahle se hi likha jaa chukka hota hai.
Aisi situation me blogger ko har baar apna taiyaar kiya hua content puri tarah se jaanch kar publish karna chahiye.
Ab puri duniya ke ek ek website par jaa kar check to kiya nahi jaa sakta. Is liye hame internet par maujud un websites ka sahara lena padta hai, ji content ki Eunice hone ki jaanch karta hai.
Smallseotools.com yaa copyscape.com ya findplagiarismonline.com par jaa kar vaha text box me 1000 word tak kaa content ham ek hi baar me check kar ke dekh sakte hai ki likha hua lekh puri tarah se original aur Eunice hai yaa kisi anya website se match karta hai.
Maan liijiye ki puri imaandari se content likhne ke baavjiood bhi article kisi dusre web content se match karta hai to kya kare?, kya pura article west hoga?
Nahi, writer us article ke match hone vale sentence thode fer badal kar ke use publish kar sakta hai. Normally sab blogger yehi tarika use karte hai. Is tarah se aap ka lekh copyright act ka shikaar nahi hoga, plagiarism kaa shikaar nahi hoga.
Plagiarism me fasne par kya hota hai?
Agar ek blogger yeh jante hue bhi content post karta rahe ki uska lekh plagiarism mach kar raha hai kisi anya web ke lekh ke sath, aur fir bhi aisa content post karta rahe to us par copyright ulangahn ki karvahi ho sakti hai.
Google search console ke dvara uska blog yaa website ban kiya jaa sakta hai, aur bade search engine se blog hatne ke baad kabhi bhi successful nahi ho pata hai.
Plagiarism ki pareshani ke karan visitors kaa bharosa bhi tut jata hai. Ek baar read karne aaye visitors dubhara laut kar nahi aate hai. Plagiarism ke karan alexa rank bhi niche jane lagta hai.
Plagiarism ki samasya se bachne ke liye kya karna chahiye?
Sab se pahle to blogger ko full research kar ke hi lekh likhna chahiye. Fir jab information malum karne ki zarurat mahesus ho tab kisi acche blog yaa books se information leni chahiye.
Dhyaan rahe ki information leni hai, copy nahi karni hai. Puri jaankari malum ho jane ke baad blogger ko pura lekh apni bhasha me likhna chahiye.
Ek baar pura lekh likh lene ke baad spelling or grammar chakaas lena chahiye. Aur fir online kisi plagiarism ckecking website par jaa kar pure article ki plagiarism check karni chahiye.
Ant me Plagiarized content ko dur kar ke original Eunice content publish karna chahiye.
Ek acche plagiarism website ki nishaani kya hai?
Is baat ko pata karna kafi aasan hai. Sab se pahle us website kaa rank alexa.com par dekh lijiye. Fir google search par jaa kar us website kaa naam likhiye aur baad me review likhiye, aur fir search tab daba dijiye.
Agar who website forge yaa frod hogi to aap ko dher sare bad opinion or bed experienced vale reviews read karne ko milenge. Aur agar website vakay me upyogi hai to aap ko us ke bare me acchi acchi bate read karne ko milengi.
Kisi bhi website ki reliability jaanni hai to uska outlook, uski popularity aur us par aane vale visitors ki sankhya se us website ki til-til ki jaankari mil jati hai.
Alexa web par high rank hona, google search review web sites par acche review likhe hona, aur website ke testimonial, yaa social network ya newsletters subscribers ki bhari tadaad hona,,, yeh sabit karti hai ki vah website upiyogi aur bharosemand hai.
Plagiarism ckeck karne ke liye kya mujhe kuch pay karna hoga yaa download karna hoga
Bulkul nahi, yeh seva kai website free me hi deti hai. Agar koyi website software download karne ko kahe yaa kuch paise advance dene ko kahe to is jamele me naa pade. Upar ke paragraph me plagiarism checker website ke naam diye gaye hai un par jaa kar plagiarism problem solve free me kar lijiye.
Conclusion
Blogging ki duniya me paisa to bahut hai, par sirf un logo ke liye jo din raat mahenat karne aur sikhne ke liye hamesha taiyaar rahte hai. Jaankari hasil karne ke liye dusre website ka sahara lena hi padta hai.
Agar koyi blogger ye kahta hai ki me kisi website se seekh nahi leta, reference nahi leta to samaj lijiye ki vah jooth bol raha hai. Jaankari lena galat nahi hai par kisi ka taiyaar kiya hua content copy karna galat hai, crime hai.
Plagiarized content publish karna blogger ke liye hamesha nuksaan dayak hota hai. Kripiya plagiarism checker website kaa use kar ke accha aur original content publish kare – Dhanyavaad.
ConversionConversion EmoticonEmoticon