Font Size - Blog Post content size kese change kare

Blog post content size change karna kafi aasan trick hai. Agar aap wordpress blogging platform use kar rahe hain to aap ki theme me zyadatar 14px ka font setting aata hai. Kai blogger is ko change karne ke liye H6 font dropdown Manu se select karte hai. Par har baar post publish karte samay font kaa chunaav karna yaa style chunna ek boring kaam ho jata hai.



Isi liye css editor me jaa kar font ka size badal liya jaye to sare published article me ek hi sath font size change ho jata hai. Aur aage publish hone vale Blog post content me bi naya set kiya hua font size hi aata hai.

To aaiye sikhte hai ki kis tarah se css me Blog post content size badla jata hai.

Maan lijiye ke aap ke theme par 14px kaa font size set hai jise badal kar aap ko 16px karna hai. Taki readers aap ke post ko acchi tarah padh sake.

Aur aap ko font ki hight line hight bhi thodi badhani hai. Ab in changes ke liye niche batayi hui process ko dhyaan se padhe.


Process of changing  Post Content size in wordpress (step by step)

Step-1

sab se pahle apne wordpress account me jaa kar dashboard par “appearance” tab dhoondh kar us par click kare.

Step-2

Ab aap ko “Editor” option par click kar ke use kholna hai. Ab aap ko editor me jaa kar “style.css” par click karna hai. Aap ko style.css apne screen ki right side baar par niche mil jayega. us par click kar ke use open kijiye.

Step3

ab  “Control +F” daba naa hai. Aisa karne se ek search box khulega. Us search box me post-single-content likh kar search kijiye.

Step-4

Palak japakte hai aap ke saamne niche darshaaya hua code yaa us se milta julta code display ho jayega.
.post-single-content {
font-size: 14px;
line-height: 23px;
font-family: 'PT Sans Caption', 'PT Sans', sans-serif;
[pmb]

Step-5

Ab dhyaan se samaj lijiye. Ki aap ko yaha “style.css” me kuch bhi change nahin karna hai. Bas khali upar example .post-single-content jaise is
.post-single-content {
font-size: 14px;
line-height: 23px;
font-family: 'PT Sans Caption', 'PT Sans', sans-serif;
ko copy kar lena hai. Aur “style.css” se exit ho jana hai.

Step-6

Is  step me aap ko “simple custom css” naam kaa plugin install karna hai. Aur use activate karna hai.

Step-7

Ab aap ka install kiya hua plugin “appearance” tab ke andar niche display hoga. “Edit CSS” aisa us tab ka name hoga. Is tab ko click kar kar ke open karna hai.

Step-8

“Edit css” tab ko kholte hi ek blank page display hoga jis par aap ko step 4 me bataya hua aap ke “style.css” se copy kiya hua code paste kar dena hai. Zyada clearance ke liye niche dekhe,,,

Paste kiya hua code
.post-single-content {
font-size: 14px;
line-height: 23px;
font-family: 'PT Sans Caption', 'PT Sans', sans-serif;
ab “Edit css”me paste kiye hue code me apni marzi mutabik aakde change kar ddjiye. Niche diye gaye example par dekhiye.

Change is tarah kare
.post-single-content {
font-size: 16px;
line-height: 26px;
font-family: 'PT Sans Caption', 'PT Sans', sans-serif;


ab finally “Edit CSS” ko save kar ke exit ho jaiye. Aur website ko ek baar refresh kar dijiye. Aap ke post ke font ka size 14px se 16px ho chukka hoga, aur height 23px se 26px ho chuki hogi.


Conclusion for post content size

Post content size direct “style.css” par bhi kiya jaa sakta hai. Lekin vaha changes karne se error aane ka khatra rahta hai. Aur main design bhool jane par use durust karna kafi mushkil ho sakta hai.

Isis liye “simple custom css” plugin ko download kar ke “Edit CSS” se original font size ko overwrite karna zyada safe rahega. Taki agar kuch gadbad ho jaye to is plugin se code delete kar ke yaa is plugin ko un-install kar ke website ko safely bachaya jaa sake.

Post me example ke taur par dikhaya gaya code ek hi hai par fir bhi do se teen baar darshaya gaya hai, taki readers ko use pahechaane me aasani rahe.

Previous
Next Post »