Top 10 SEO Reason Jiske Karan Search Rank Down Hota Hai

Blogging work seriously karne vale blogger ek kaam regular karte hai. Aur woh hai apne website ki search rank par nazar rakhna. Me khud bhi yeh aadat rakhta hu. Aaj se karib 4 se 5 mahine pahele meine ye blog shuru kiya tha. Tab mere website ka rank 86 lakh ke paas tha. Uske baad mene apni site par mahine ke 15 se 20 article publish karna shuru kiya. Kuch hi mahino me mere website kaa rank 11 lakh tak upar aa gaya. Ab me full confident tha ki agle 6 mahine me mey apna website 2 se 3 lakh ke andar laa dunga.



Lekin aisa kuch bhi nahi hua. 11lakh par rank aa kar ruk gaya. Fir ulti ginti shuru ho gayi. Dheere dheere kar ke mere site ka rank 12lakh par gaya fir 14lakh par gaya fir 18lakh par gaya aur aaj mere blog site ka rank 20lakh ke niche khisak gaya hai. Apne blog ko is tarah muh ki khate dekh kar mujhe kafi bura lag raha tha.

Fir maine SEO search rank down hone ke reason dhundha shuru kiya. Kai popular article padhne ke baad mujhe pata chala ki search rank fluctuate hote rahte hai. Aur kai baar yeh miss-guided info bhi dete  hai.

Par fir bhi maine socha ki, ho sakta hai ki me kuch galati kar raha hu. Is vajah se bhi rank niche jaa raha hoga. To mene aise possible karano ki list banayi ki,,, jis ki vajah se ek acche rank vale website ka rank down ho sakta hai.


1-Keyword strategy galat hona– Search rank doping ka ek reason

Google search me log 2 saal pahle jo keyword likh kar search karte the, voh shayad aaj trend nahi hoga. Matlab ki jis tarah technology badalti rahti hai, usi tarah ek Internet surfer ke search karne ka tarika bhi badalta raheta hai. Is liye is baat ko dekhte rahena chahiye ki aap ki keyword strategy outdated to nahin ho gayi hai na. is point ko ek example ke dvara samajte hai.

Example- kuch samay pahele Google English keyword hi read kar ke uska result display karta tha. Like “Best Blog on Internet” lekin ab Google native languages bhi support karta hai, aur “internet par sab se accha blog” se bhi result produce karta hai aur “इंटरनेट पर सब से अच्छा ब्लॉग” likh kar search karne par bhi result produce karta hai.

Ab aap upar bataye 3 keyword ko dhyaan se samjiye. Teeno kaa meaning ek hi hai. Par likhne ka tarika alag hai. Ab jo user proper hindi me search karega use proper hindi vala top article display hoga. Jo Hinglish me search karega use us bhasha ka top article display hoga. aur jo proper English me search karega use best English article first page par dikhega.
Is liye ab ye aap ko decide karna hai ki aap kis audience ko target karna chahte hai.


2-Google Update- Google search ke niyamo par nazar naa rakhna-

Google ek badi company hai. Us company me kai sare talented master mind employee hai. Google din par din apni services ko batter karne me laga raheta hai. Isi vajah se search algorithm me bhi changes aur update karta raheta hai. Kai baar kuch important rules change ho jane ki vajah sebhi aap ke website kaa rank niche jaa sakta hai. Is baat ko example se samjte hai.

Example- Google search engine me aaj ye rule hai ki jin post pages par h1 h2 h3 fonts aur bold, italic text ho use priority di jati hai. Post me images daalne se bhi uska rank badhta hai. Article me jyada internal links ho to use rank accha milta hai. Yeh sab aaj ke zamane ke comman rules hai.

Ab ho sakta hai ki aane vale samay me Google announce kar ke in me kuch ferbadal kar de, to is condition me aap ko Update follow karni hi padetgi. Aur is ke liye Google webmaster guideline ka sahara lena best hoga. Aur top blogging forums me bhi regular visit karna chahiye taki current update aasani se milti rahe.


3-Using Bed Hosting – Sasta aur ghatiya hosting plan use karna

Blogging karna hai to usme thoda nivesh karna zaruri hai. Hosting me paise bachane ke liye sasti company lena west hai. Is se accha hai ki blogger ke free platform par file host kar li jaye. Hosting kharidte vakt kisi professional blogger se advice zarur leni chahiye. Taki baad me pastana naa pade. Low quality hosting Search rank niche jane ka ek mukhya karan ho sakta hai.


4-Incorrect robot.txt – robot.txt ki galat settings

yeh ek aisi bala hai, jis se bach kar rahena chahiye. Galat robot.txt setting ke karan search engine aap ke website blog ko ignore kar sakta hai. Aur organic traffic search engine se hi praapt hota hai. Kisi bhi blog ko success pane ke liye search engine se organic traffic chahiye hi chahiye. Website kaa meta tag, sitemap, robot.txt aur outlook sahi hai yaa usme gadbadi hai, is bare me jaldi se malumaat kar leni chahiye. In me se kisi me bhi gadbadi ho jane se web traffic par asar padega. Aur sath me search rank bhi kam hone lagega.


5-Compititors doing better job then you – aap ke pratispardhi accha kaam kar rahe hai

Agar aap ka rank tezi se upar aaya hai. To kisi ka to nche gaya hoga. Ab kisi ka niche gaya hoga to usne mahenat bhi ki hogi. Ye sara chuhe billi ka khel hai. Is liye jab aap ka website search rank niche jaaye to aisa nahi samj lena chahiye ki aap ne kuch galati ki hogi isi liye rank drop hua hai. Aisa bhi ho sakta hai ki aap ke mukable aap ke competitors zyada mahenat kar rahe hai.


6-Good backlinks and bad backlinks – acchi backlinks aur nuksaan karak backlinks

ab ye baat to sab jaante hai ki do follow backlinks zyada hongi to traffic milega. Par har baar ye ganit lagu nahi hota hai. Kai log professional backlinks seller se backlinks set karva kar traffic hasil karne ki koshis karte hai. Jin ka ratti bhar fayda nahi hota hai.

Is point ko dhyaan se samjiye Ki backlinks se aane vala visitor natural nahi hoga to vah aap ke site par aayega nahi. Aap ke site par us low quality backlinks se visitor aayega nahi to page views nahi badhege. Aur naa hi advertise click hoge.

Is liye High quality original backlinks ko hi apne blog par allow kare. Baki spammer backlink useless or harmful hai. Aise backlinks traffc to nahi bhejenge par haa aap ke website ke search rank ko gatar me zarur dubo denge. Kyu ki Google bots Backlinks ki quality parakhne me mahir hote hai. Unhe cheat karna yani Rajnikaant ko style me harana, Brush lee ko karate me harana aur Michel Jackson ko dance me harana.

Is problem se bachne ke liye spam backlinks remove kare. Aur aap khud jab dusre blog par jaye to comment karne aur backlink set karne ke liye top quality site ka chunaav hi kare.


7-keep fluctuating website – apne blog par baar baar badlaav karna
kisi bhi website par improvement lane ke liye badlaav zaruri hai. Par baar bar theme badalna, hosting badalna. Widgets location change karna. Current template ka css margin edit karna. Yeh sab karne se ranking par effect hota hai.

Sach kahu to me bhi apne ek blogger platform par banaye website par baar baar template change kar ne ki galati kar chukka hu. Aur isi vajah se mere us blog ka rank ek yaa do dino me hi 50k ya 1lakh tak piche chala jata tha.

Is liye ho sakte to ek accha responcive template chun lene ke baad use long time tak change naa kare. Aur sirf content improvement par hi dhyaan lagaye.


8-over using media and formatting – cartoon jaisa blog bana dena

Kai blogger aisi galati kar baithte hai. SEO ke bare me thodi bahut malumaat kar ke blog post me 10 se 12 images daal dete hai, aur do do line par h1 h2 font daal kar search rank me aage aane ki naakaam koshis karte hai.

Yaad rakhiye ki Search engine algorithm kisi paan ki dukaan vale ne yaa bidi bechne vale nahi banaya hai. Is quality system ka aavishkaar highly qualified aur talented inventor ne kiya hai, aur use chalane vale bhi equally talented hote hai. Is liye use ullu bana kar kabhi bhi top page rank hasil nahi kiya jaa sakta hai.

Kam se kam 4 se 6 line likhne ke baad hi sub heading txt dena chahiye. Agar article ki length choti hai 500 words yaa 700 words to usme 10 yaa 12 images ghusa kar koyi fayda nahi hoga. Chote article me advertise ki sankhya bhi ghata deni chahiye.

Kyu ki finally aap ka article tabhi popular hona hai, jab use reader pasand karege. Aur annoying formatting vale article ko reader share nahi karege, aur pura padhege bhi nahi.
Ab page view jaise jaise kam hone lagege to us post page kaa rank bhi niche jane lagega. Is liye SEO ke chakkar me post ki quality se kabhi compromise naa kare. Aisa karenge to search rank pakka niche jayega.


9-Copied Content or Translated Content ke karan search rank girna –  

90% se jyada blog par vohi chize baar baar repeated hoti hai, jo already popular blogs par publish ho chuki hoti hai. Ab agar koyi blogger ye kahta hai ki me jo publish kar raha hu vah 100% mere hi dimag ki upaj hai, to samaj lijiye ki vah juth bol raha hai.

Topic research karne ke liye idea to lene hi padte hai. Me is article ko likh raha hu to is par 10 point ikkatha karne ke liye bhi mene 10 website par jaa kar research ki hai, tabhi jaa kar me ye 1500 se 2000 words ka article likh paa raha hu.

Yaha point yeh hai ki refrence lena buri baat nahi hai. Jaankaari leni chahiye. Par job hi content taiyaar kare vah Eunice way me original hona chahiye. Ab is article me maine jo 10 point sujhaye hai vah aap ko world ke 500 dusre web pages par bhi milenge. Lekin jo meri writing hai, points ko samjane ki style hai vah dusre 1 website se bhi exact mach nahi hogi.

Web site Search rank ki giravat se bachne ke liye ho sake utna maulik / original content produce karne ki koshis kare. Kyu ki google ko original content kafi pasand aata hai.


10-recall of published content- publish kiye hue lekh ko delete karna ya draft karna  

Kai blogger apne purane blog post ko quality ke karan yaa us article me likhe points ke useless ho jane par use delete karne ki galati karte hai aur low search rank ka shikaar hote hai.                               

Published article ka content chedne par yaa use delete kar dene par page rank niche ja sakta hai. Is liye purane published content ko delete karne se accha hao use upgrade kare. Usme thode bahut badlaav kar ke update kar dena hi best hoga.


Conclusion

Search rank drop hone ki samasya blogger ke liye heart breaking hoti hai. Is problem se bachne ke liye itna kare.,,,, 1000 word se 1200 words ka lekh kikhe. Post me be vajah ke common explanation naa de. Over formatting naa kare. Website ka template baar baar change naa kare. Had se zyada advertise ek page par naa lagaye. Spam link remove kare. Accchi backlinks badhaye. Rank upar niche jaye to sabr rakhe. Content par dhyaan lagaye. Social share improve kare. Responsive template use kare. – Best Luck               
Previous
Next Post »